Maa Baap Ki Izzat


Jab Tu Paida Hua Kitna Majboor Tha Yeh Jahan Teri Soch Se Bhi Door Tha… Haath Paaon Bhi Tab Tere Apney Na The Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapney Na The Tujh Ko Aata Sirf Rona Hi Tha Doodh Pee Ke Kaam Tera Sona Hi Tha… Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa Ne Teri… Maa Ke Saaye Main Parwaan Chadne Laga Waqt Ke Saath Qad Tera Badne Laga… Dhire Dhire Tu Kadiyal Jawan Ho Gya Tujh Pe Saara Jahan Meharban Ho Gya… Zor-e- Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga Khud Hi Sajney Lga Khud Sanwarney Laga… Ek Din Ek Ladki Tujhe Bhaa Gyi Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Aa gyi… Ab Faraayez Se Tu Door Hone Laga Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Bone Laga… Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulaane Lga Teer Baton Ke Phir Tu Chalaney Laga… Baat Be Baat Unn Se Tu Ladne Laga Qayda ek Naya Tu Phir PaDhne Laga… Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha ek Din Ab Humara Guzara Nahin Tere Bin… Sunn Ke Yeh Baat Tu Tayesh Main Aa gya Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Gaya… Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maa Se Kaha Main Tha Khamosh Sab Dekhta Hi Rha… Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chod Do Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tod Do… Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro… Baith Kar Aahen Bharti Thi Maa Raat Bhar Inki Aahon Ka Tujh Par Hua Na Asar… Ek Din Pita ji tera Chala Rooth Kar Kaise Bikhri Thi Phir Teri Maa Toot Kar… Phir Woh Bhi Bas kal Ko Bhulati Rahi Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi… Ek Din Maut Ko Bhi Taras Aa gya Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Gaya… Ashk Ankhon Main The Woh Rawana Huwi Maut Ki Ek Hichki Bahana Hui… Ek Sukoon Us ke Chehre Pe Chaaney Laga Phir Tu Mayyat Ko Uski Sajaney Laga… Muddatein Ho Gayi Aaj Booddha Hai Tu Tooti Khatiya Pe PaDa Bora Hai Tu… Tere Bacche Bhi Abb Tujh Se Dartey Nahi Nafraten Hain, Muhabbat Woh Kartey Nahi… Dard Mein Tu Pukare Ke “O MERI MAA” TERE DAM SE HI ROSHAN THE DONO JAHAAN… Waqt Chalta Rahta Hai Waqt Rukta Nahi Toot Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi… Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishaan Reh Gaya Dhoondh ab Zor Tera Kahan Reh Gaya… Yaad Kar Ke Gya Daur, Tu Rone Laga Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Phir Hone Laga… Maut Maange Tujhe Maut Aati Nahin Maa Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi… Tu Jo Khanse Tu Aulad Daantey Tujhe Tu Hai Nasoor Sukh Kaun Baantey Tujhe… Maut Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par… QADAR MAA BAAP KI GAR KOI JAAN LE APNI JANNAT KO DUNIYA MAIN PEHCHAN LE… I Hope You Will Get Some Really Good Things from this…Apne maa Baap di Izzat kro and kde v ohna da Dil naa Dukhaayo
(',') RÄÑÄ ß!£Ä£ !QßÄ£ (',') bilal.rana35@gmail.com

No comments: